Saturday 14 July 2018

Facebook Par Personal ID Aur Apps ID Ka Pata Kaise Lagate hain ? Janiye puri jankari in hindi -RK SOLUTION

India me ho ya pure world me sabse jyada user facebook social media ke hai. Aaj hum Facebook personal ID aur Apps ID ka pata kaise lagaye iske bare me jankari jante hai. Facebook se aap daily $200 bhi kama sakte ho. Facebook ek popular social media hone ke karan aap sabhi iska use chatting ke liye karte hai, iske sath hi aap apna business promote bhi kar sakte ho.

Facebook Par Personal ID Aur Apps ID Ka Pata Kaise Lagate hain ? Janiye puri jankari in hindi

Facebook ke sabhi users ko iske bare me pata hona chahiye. Facebook ke personal ID ka use karke aap uska account band bhi karwa sakte ho. Personal ID ka use aap wordpress par jab blog banate ho tab hota hai. Lekin ye facebook personal ID kaha milegi iska pata aapko hona chahiye.

What Is Facebook Personal ID & Apps ID

Facebook Par Personal ID Aur Apps ID Ka Pata Kaise Lagate hain ? Janiye puri jankari in hindi -RK SOLUTION


Facebook personal ID means aapke naam ki ID hoti hai aur Apps ID means aapke business page ki ID hoti hai. Is ka use kisi website ko promote karne ke liye ya phir aapke business ko promote karne ke liye kiya jata hai.
Facebook Business page banane ke baad aapko apni Apps ID aapke website ke facebook profile me use karna padta hai. Is se aapke website ki post facebook par automatic publish ho jati hai.

Facebook Personal ID Ka Pata Kaise Lagate hain ?
STEP 1 :
Sabse pahle www.facebook.com par jaiye aur apne account se login kijiye.

STEP 2 :
Ab aapke profile par click kijiye aur aapke profile ID ke url ko copy kijiye.

STEP 3 :
Ab aap www.findmyfbid.com par jaiye aur copy kiye huye Profile ID ke url ko paste kijiye.

Yaha aapka Profile url paste kijiye.
Ab Find numeric ID button par click kare.
STEP 4 :
Ab aapki facebook Personal ID create ho jayegi kuch is tarah se.

Success ! Your personal ID is :-  123456789101112


Facebook Apps ID Ka Pata Kaise Lagate hain
STEP 1 :
Pahle aap Facebook ke Developers website par jaiye.

STEP 2 :
Ab aapko new apps ID banani padti hai. Ab aap website par click kijiye.

STEP 3 :
Ab aap yahan par jis naam se banani hai us naam ko daliye. aur Create New Facebook App ID par click kijiye.

STEP 4 :
Ab aapke samne ek popup window open hogi usme aapke app ka naam aur aapka email dalna hai. Ab aap Create App ID par click kijiye.

STEP 5 :
Ab aapko Security code dalkar Submit button par click kijiye.

STEP 6 :
Ab aapke samne yah Facebook App ID ready ho gayi hai is ID ko copy karke aapke website me paste kar dijiye.

Facebook
 Is tarah se aap Facebook personal ID aur Apps ID ka pata laga sakte ho.

Source: learnnearnhindi.com

No comments:

Post a Comment