Saturday 21 October 2017

WhatsApp Offline Mode – Bina Online Aaye WhatsApp Message Padhe ~ rk solution

WhatsApp Offline Mode – Bina Online Aaye WhatsApp Message kaise Padhe. Whatsapp aaj duniya ki sabse jyda use ki jane wali social massaging App hai aur sayad aajkal ke sare smartphone me ye app apko install mil jayega. Khaskar Jio ke launch hone ke baad jis tarah se india me internet data pack ka rate kam hua hai aur internet speed me sudhar aaya hai, uske karan log ab Whatsapp ko jyada use karne lage hai. Whatsapp hum sabhi log use karte hai aur kai sare Log din-raat Whatsapp par lage rahte hai. lekin kabhi – kabhi aisa hota hai ki hum kisi ke massage ko padhna chahte hai lekin bina apne aap ko online dikhaye.
WhatsApp Offline Mode - Bina Online Aaye WhatsApp Message Padhe
WhatsApp Offline Mode – Bina Online Aaye WhatsApp Message Padhe
Dosto apko bata de ki Whatsapp par hum tabhi online dikhte hai, jab hum usko open kar ke koi massage padhte hai. Lekin agar hame bina apne aap ko online dikhaye massage ko read karna ho to hum kaise kar sakte hai. Aaj is post me hum iske bare me janane wale hai. Aage badhane se pahle me apna parichay dena chahunga. Mera naam Vinay Singh hai aur me GyaniBlog.com ka Founder hu. Yahan par me Latest Tech aur Online Make Money ke Tips Share karta hu.
Me apko iska ek trick batane wala hu jis se aap bina apne aap ko WhatsApp par Online dikhaye kisi bhi Massage ko padh sakte hai aur is trick ko ham WhatsApp Offline Mode khete hai matalb ki ham online to hote hai lekin logo ke liye offline hote hai

WhatsApp Massage Ko Bina Online Aaye Padhne Ke Fayde – Benefits Of WhatsApp Offline Mode

Agar aap koi Job ya Bussiness karte hai, to sayad apko utna waqt nahi mil pata hoga ki aap kisi ke whatsapp massage ko padhne ke baad reply kar sake. Bahut se logo ki ye pareshani hoti hai ki unke pass WhatsApp par bahut se longo ke maasages aate hai lekin sabhi Massages utne important nahi hote. Jiske karan ve sabhi longo ka Reply dene se bachna chahte hai aur isme aapki help karegi WhatsApp Offline Mode trick.
WhatsApp Offline Mode trick ke dwara aap chahe to kisi ke massage ko padh sakte hai bina usko pata chale, ki aap Online hai. Aise me aap kisi important massage ko padhne ke baad bina us se chat kiye apna waqt bacha sakte hai. Agar aap kisi important massage ko padhna chahte ho bina reply kare aur bina usko pata chale ki aap online mojud hai, to aap is tarike ka upyog kar sakte hai aur sabse khass baat yah hai ki is trick ke liye aapko koi bhi whatsapp offline mode apk ki jarurat nhi hogi.

    WhatsApp Offline Mode – WhatsApp Massage Ko Bina Online Aaye Kaise Padhe

    Step 1 : Sabse Pahle apko apne Phone ki Home Screen me jana hai aur screen par thodi der touch kar ke rakhna hai.
    Step 2 : Uske baad apke samne Option aa jayenge, jisme apko Widgets pe click karna hai.
    WhatsApp Offline Mode - WhatsApp Massage Ko Bina Online Aaye Kaise Padhe
    WhatsApp Offline Mode
    Step 3 : Yahan par apko bahut sare Widgets milenge, aapko in me se WhatsApp wale Widget ko khojna hai. Whatsapp Widget ko jab aap long press parenge to vo apke Home Screen par add ho jayega. Aap chahe to is Widget ki Size ko apne hisab se Costmize bhi kar sakte hai.
    WhatsApp Offline Mode - WhatsApp Massage Ko Bina Online Aaye Kaise Padhe
    WhatsApp Offline Mode
    Step 4 : Ab aap dekhenge ki ye Widget apke sare Whatsapp Unread Massages ko show kar rha hai. Aap chahe to apne sare unread massage ko scroll down kar ke padh sakte hai. Aur sabse achhi baat yahi hai ki is tarah se massage padhne par kisi ko pata nahi chal sakega ki aap online hai
    WhatsApp Offline Mode - WhatsApp Massage Ko Bina Online Aaye Kaise Padhe
    WhatsApp Offline Mode
    Lekin agar aap kisi massage ke upar click karenge to apka whatsapp open ho jayega. Isliye agar apko sirf massage padhna ho to scroll down kar ke padhe aur reply dena ho tabhi uspe click kare.

    WhatsApp Par Last Seen Status Ko Kaise Chupaye –

    WhatsApp lagatar naye – naye feature update karti rahti hai aise me Agar aap chahte hai ki aapne massages ko kab read kiya ye koi naa jaan paye to aap apne last seen status ko disable kar kar sakte hai. Is se ye fayda hoga ki koi bhi ye nahi jaan payega ki aapne Massages ko kab dekha tha. Aisa karna isliye bhi jaruri ho jata hai kyonki kai bar ham kisi ke massage ko dekhne ke baad use reply karna bhul jate hai aise me vo hamara last seen status dekh sakta hai. Last Seen Disable ho jane se koi bhi ham par nigrani nahi rakh sakta ki hum kab Online aaye the.
    Agar aap apne last seen ko dusro se chupana chahte hai to aapko apne WhatsApp me jakar Settings me kuch changes karne honge. Iske liye aap niche bataye gaye instructions ko follow kare.
    1 ] Sabse Pahle Aap apne Whatsapp ko khole aur Settings>>Account>>Privacy me jaye.
    2 ] Ab Last Seen wale option pe click kare, yahan par 3 option milenge – Everyone, My Contact aur Nobody. jisme aap Nobody ko select kare.
    WhatsApp Par Last Seen Status Ko Kaise Chupaye
    whatsapp offline mode
    Ab koi bhi apke last seen status ko nahi dekh payega, lekin iska disadvantage ye hai ki aap bhi kisi ka last seen status nahi dekh payenge

      Last Word : dosto aaj hamne aapko bina kisi app ke whatsapp offline mode trick kaise use karte hai aur Bina Online Aaye WhatsApp Message kaise Padte hai yah bataya hai jiske liye hamne whatsapp widget aur Last seen Status ko ek sath me use kiya aur hame ummid hai aapko yah trick bahut pasand aayi hogi.
      Ye ek Guest Post hai jisko GyaniBlog.com ke Founder Vinay Singh ne likha hai. indihow par published Guest Post padhne ke liye yaha click kare sath hi indihow par apni Guest Post publish karne ke liye hame facebook par contact kare. agar aapka koi sawal hai is whatsapp offline mode trick ke regarding to aap comments ke jariye puchh sakte hai. Agar post helpful lagi ho to ise share jarur kare.
      source --- indihow

      1 comment:

      1. This information is impressive..I am inspired with your post writing style & how continuously you describe this topic. After reading your post, thanks for taking the time to discuss this, I feel happy about it and I love learning more about this topic
        java training in mumbai
        java course in mumbai

        ReplyDelete