Saturday 21 October 2017

Flipkart Account Kaise Banaye ? Create Flipkart Account in Hindi ~ rk solution

Aaj ham Flipkart account ke bare me baat karege aur aapko flipkart account create kaise karte hai yah details me batayege. Jaise ki aap sabhi jante hai flipkart.com india ki sabse popular e-commerce website me se ek hai aur aap yaha online shopping kar sakte hai aur koi bhi product ko apne ghar par cash on delivery mangwa sakte hai lekin Flipkart se shopping karne ke liye aapke pass Flipkart account hona bahut jaruri hai.
Flipkart account kaise banaye
Flipkart account kaise banaye
Yani Flipkart login karne ke liye aapko Flipkart sign up karke registration karna hoga matalb aapko Flipkart account create karna hoga jo aaj ham aapko sikhne wale hai. Ek baar aap apna Flipkart account bana lete hai to aap us account se Flipkart login karke unlimited product online buy kar sakte hai sath hi aap Flipkart affiliate bhi join kar sakte hai aur apne website par affiliate marketing though online paise kama sakte hai.

Flipkart Account Type Kitne Hai.

Sabse phele to mai aapko bata du ki aap Flipkart par 3 alag – alag type ke account create kar sakte ho jisme aap customer account, Flipkart seller account aur Flipkart affiliate accountbana sakte hai aur aaj aap Flipkart new account kaise banate hai yah aapko sikhne wale hai aur baki bache Flipkart seller account, Flipkart affiliate account kaise banate hai yah ham aapko aane wale dino me new post tutorial me batayege. Filhaa ham aapko Flipkart account type ke bare me basic jankari bata dete hai
Flipkart Account : is account ke jariye aap filpkart se online product kharid sakte hai aur apne ghar par cash on delivery ya net banking ke jariye samaan manga sakta hai yah account kaise banate hai ham aapko aaj sikhne wale hai.
Flipkart Seller Account : ager aapki koi shop hai jaha aap electronic, fashion designing etc type ki shop hai to aap apne product ko flipkart par online sell karne ke liye rakh sakte hai jai aapki mobile shop hai to available mobiles ko filpkart par sell kar sakte hai aur iske liye aapko filpkart seller account banana hoga.
Flipkart Affiliate Account : ager aapke pass affilate niche par koi website hai to aap filpkart affilate se acha paisa kama sakte hai aapke refer se filpkart par jane wale visitor koi product kharidte hai to flipkart aapko 0 to 25% tak ka affilate commission deta hai. ager aap flipkart affilate account bana ke paise kamana chahte hai to aapke pass website ka hona bahut jaruri hai website kaise banaye jane hindi me.

Flipkart Account Kaise Banaye

Step 1 : Sabse phele www.flipkart.com par jaye.
Step 2 : Ab signup button pe click kariye niche ke image ko follow kariye.
Flipkart Account Kaise Banaye
Step 3 : jaise hi aap flipkart sign up button par click karte hai aapke samne ek popup box open hoga jisme aapko apne active mobile number dalna hai aur continue par click karna hai.
Flipkart Account Kaise Banaye
Note : aapne dala hua mobile number chalu hona jaruri hai q ki Flipkart aapke mobile par ek OTP SMS bhejega verification code ke sath jo aapke next step me add karna padta hai.
Step 4 : Jaise hi aap continue button par click karte hai aapke samne next box open hoga jisko fil kariye.
Flipkart Account Kaise Banaye
Mobile Number : yaha aapne phele hi apna chalu number add kiya hai.
OTP : yaha aapko 6 digit otp number dalna hai jo aapke mobile par massage ke jariye aaya hoga.
Password : yaha aapko apne account ke liye password set karna hai.
Step 5 : sari details add karne ke baad aapko Save Button par click kar dena hai.
Congratulations ! aapne flipkart account create karna sikh liya hai. ishi tarha aap Flipkart app par bhi account create kar sakte hai aur online shoping kar sakte hai lekin isse phele aapko apne flipkart account details ko update karna hai. jaise aapka name, addresse, city etc ki detals add karni hai. chaliye ham aapko flipkart account details update kaise karna hai yah bhi bata dete hai.

    Flipkart Account Details Update Kaise Kare.

    Step 1 : Sabse phele www.flipkart.com par jaye aur login kariye.
    Step 2 : Flipkart account me login karne ke baad My account par >> Account par click kar dijiye
    Flipkart Account Kaise Banate Hai
    Step 3 : ab aap profile information area me aagaye hai jaha aapko profile information aur email address ke baju me edit button dikhai dega uspe click kariye aur form ko bhariye.
    Flipkart Account Kaise Banate Hai
    profile information : isme aapko apna Name aur surname add karna hai aur save karna hai.
    Email Address : yaha aapko apna email id add karne hai aur save karna hai jiske baad aapko apne email account par flipkart otp email aayega usko verify kar lijiye q ki jab aap flipkart se koi product kharideg tab aapko uski sari details email par milti rahegi.
    Step 4 : Ab aap left side me Mange Addresses par click kariye aur add address ke button pe click kar dijiye.
    Flipkart Account Kaise Banate Hai
    Step 5 : ab ek form open hoga jaha aapko apne ghar ki sari details add karne hai iske liye aap niche di hui image dekhe aur niche bataye gaye tarha apna jankari add kare.
    Flipkart Account Kaise Banate Hai
    Name : apna full name dale
    Phone Number : yaha apna mobile number dale.
    Pincode : yaha apne city ka pincode dale
    Locality : yaha apne city ka naam dale.
    Address : yah aapko apne ghar ka address dalna hai. dhiyan rahe ki yaha aapko apne ghar ki sahi – sahi information dalni hai q ki ishi address par aapke buy kiye gaye product ki delevery hogi.
    City : yaha apne city ka naam dale.
    State : yaha aap apne state ka naam dale
    Address type : yaha aapko ek option select karna hai ager aapne apne ghar ka addresse dala hai to Home select kare aur ager aapne apne work place ka address dala hai to work select kare.
    Final step jab sari jankari sahi se bharni ho jaye to save button par click kar dijiye.
    Last Word : aaj aapne flipkart account create kaise karte hai yah jana hai sath hi aapne apne flipkart new account me apne address details aur email details ko add kjarke apne account ko puri tarha se update karna sikha hai. yah sari step karne me aapko koi dikkat aati hai to aap hame comment karke puch sakte hai ham aapki help karege.
    Flipkart account kaise banaye yah tutorial aapko achi lagi ho to isko apne dosto se share jarur kare sath hi hamare letest update facebook pe pane ke liye hamare facebook page ko like kare.

    No comments:

    Post a Comment